Dil-E-Naashaad Pe Khushiyon Ki Nazar Hone Tak
Maut Aa Jaayegi Aabaad Ye Ghar Hone Tak
Zabt Ki Saari Hadon Se Main Guzar Jaaungaa
Gham Kaa Izhaar Sar-E-Deedah-E-Tar Hone Tak
Khushk Ho Jaayengi Aankhen Miri Rote Rote
Sang-Dil Yaar Pe Aahon Kaa Asar Hone Tak
Meri Vahshat Ko Guzarnaa Hai Maraahil Se Kayi
Daaman-E-Yaar Pe Ashkon Ko Guhar Hone Tak
Kitni Mauten Hain Ilaahi Miri Taqdeer Men Aur?
Umr Baaqi Hai Jo Ab Us Ko Basar Hone Tak
Ishq Kaa Achchhaa Buraa Ham Ne Sunaa Thaa Lekin
Dil Gayaa Faislaa-E-Khair-O-Khatar Hone Tak
Barq-O-Tufaan Kari Dhup Khizaan Ke Mausam
Dekhen Kyaa Guzre Hai Daane Pe Shajar Hone Tak
Jaane Phailengi Zamaane Men Vabaayen Kitni
Ibn-E-Mariyam Kaa Phir Ik Baar Guzar Hone Tak
Kaun Jeetaa Hai Ki Jo Vaqt Badaltaa Dekhe
Raat Khaa Jaati Hai Taaron Ko Sahar Hone Tak
Ab Ke Jaanaa Hai Jahaan Bas Vahin Rah Jaanaa Hai
Khaanamaan Jor Lo Kuchh Mahv-E-Safar Hone Tak
Ek Khaaki Ko Chamakne Ki Tamannaa Abid?
Khaak Ho Jaaoge Tum Shams-O-Qamar Hone Tak