Dil-E-Aazurda Shab-E-Gham Pe Maharbaan Bahut Hai,
Yunhi Furqat Ke Tasavvur Se Pareshaan Bahut Hai
Tujhe Wallah Bhulata Hi Raha Aur Shab-E-Gham
Dil-E-Nadaan Yahi Kehta Raha Pehchaan Bahut Hai
Nahin Himmat Ke Karun Phir Se Wahi Shokh Nawaai
Mera Afsurda Tabassum Hi Jo Bejaan Bahut Hai
Abhi Ulfat Ke Taqazon Ko Main Samjha Nahin Shayad
Abhi Darmanda Jawaani Meri Naadaan Bahut Hai
Ab Aziyyat Bhi Aziyyat Pe Sharamsaar Hai Naadaan!
Teri Yaadon Ke Sahare Mein Bhi Hirmaan Bahut Hai
Teri Yaadon Ke Saharon Mein Bhi Taskeen Na Rahi Ab
Rah-E-Maqtal Hi Sujha De! Tera Ehsaan Bahut Hai
Na Hi Bandon Se Tanaffur, Na To Qudrat Se Hai Shikwa
Haan Muqaddar To Bahana Hai Aur Aasaan Bahut Hai
Kabhi Ehsas-E-Nadamat To Kabhi Yaas Ke Aansu
Mere Isyaan Ka Tasavvur Bhi Pashemaan Bahut Hai
Tere Jalwe, Meri Ghurbat, Teri Dawlat, Mere Faaqe
Mein Jo Behkoon To Sambhalne Ka Bhi Saamaan Bahut Hai
Dil-E-Naazuk Ka Safeena Hi Kahin Doob Na Jaaye
Mere Jazbon Ke To Saahil Pe Hi Toofan Bahut Hai
Yeh Haqiqat Bhi Haqiqat Mein Badi Hoshruba Hai
Mera Qaatil Hi Mere Qatl Pe Hairaan Bahut Hai
Teri Khamosh Udasi Mein Jhalakti Hai Meri Aah
Abhi Qaanoon-E-Raqaabat Se Tu Anjaan Bahut Hai
Kyun Teri Bazm-E-Mu’attar Ke Woh Charche Na Rahe Ab?
Kyun Mere Baad Yeh Mehfil Teri Veeran Bahut Hai?
Tere Nakhwat Ke Fasaanon Mein Sadaqat Thi To Phir Ab
Tere Ashkon Ke Samandar Mein Kyun Haijaan Bahut Hai?
Dil-E-Muztar Yeh Jafa Seh Ke Bhi Maayus Nahin Hai
Mere Mahboob! Tere Wasl Ka Armaan Bahut Hai