Dekhta Main Raha, Ghoomta Phir Raha
Apney Kapdon Mein Paibandh Ginta Raha.
Naukri Ik Mili, Ghar Khushi Se Bhara
Apna Paibandh Fir Bhee Chupaata Raha.
Pet Kamzor Tha, Aankh Maayus Thii
Uski Chaukhat Mein Sar Ko Jhukaata Raha.
Karna Jo Chahata Tha Nahin Kar Saka
Kuch Usoolon Kii Khaatir Pistaa Raha.
Khud Ke Paibandh Ko Main Hata Naa Saka
Din-Ba-Din Uska Aakaar Badta Raha.
Pahuncha Maayus Hokar Ik Nayi Jagah
Degreeyon Kaa Wajan Jahan Girta Raha.
Jee Huzuri Kari, Apna Maatha Ghisa
Chupkey Daftar Mein Paani Pilaata Raha
Magar Fir Bhii Paiibandh Kamm Naa Hue
Main Khud Kii Nazar Se Yun Girta Raha.
Hataaya Mujhe Fir Nikaala Gaya
Main Khud Ke Hi Haathon Se Marta Gaya.
Bina Naukri Khud Hee Lutt-Ta Raha
Aag Mein Degreeyon Ko Jalaata Raha
Mil Saka Naa Thikaana Mujhe Kaam Kaa
Main Sada Khaali Bartan Hi Khaata Raha.