Dekh Phir Se Wahii Din Aagaya Hain Lautkar
Jo Legaya Tha Tujhko Mere Aakaash Kii
Uss Seema Se Paar Jiski Maatr Kalpana Se Hii
Main Sihar Utth-Ta Hoon.Aaj Almaari Kaa Yeh Palla Bhii
Jhoolney Mein Magn Hain
Jaise Chhat Per Rakhey
Jhooley Per Tera Kabhi
Hua Karta Tha Jhoonlna.
Yeh Maachis Kii Tilliyaan Aaj
Dhoonweein Se Hee Bujh Rahi Hain
Jisne Aandhiyon Se Kabhii
Mere Sholon Ko Bachaaya Tha.
Un Se Bani Yeh Gol Topi
Iss Darr Se Pehen Nahin Paata
Ki Koi Tez Hawa Kaa Jhonka
Isse Urrakar Naa Lauta Dey Tujhko.
Aaj Hii Tow Tuney Jise Rakha Ttha
Sar Per Mere Apney Haathon Se.
Is Darr Se Dho Nahin Paata Ki Kahin
Mehak Iski Paani Naa Chura Batthey.
Teri Hansi Se Jo Aangan
Bhara Rehta Ttha Kabhi
Chota Sa Pattaa Bhi Aaj Yahan
Rukney Ko Tayyaar Nahin Hain.
Roshan Jin Diyon Ko Karti Tthi Tu
Unh Mein Aaj Ik Baati Nahin Hain
Aankhon Se Tapakti Boondein Mujhe
Aaj Sotee Nazar Aati Hain Wahin.
Yahi Taareekh To Thi Woh
Jo Khaagayi Thi Meri Kahani
Khaagayi Thi Paghdanddiyon Ko
Jinper Meri Manzilein Raha Karti Tthi.
Isney Hii To Badla Tha
Aasman Ka Rang Mera.
Mujhe Khaali Kar Gayi Thi
Bina Koi Sawaal Rakh-Kar.
Khol Gayi Thi Shareer Ke Meri
Nas-Nas Ke Har Jod Ko.
Leel Gayi Thi Raat Mujhko
Sar Se Paanv Ki Zameen Tak.
Soch Raha Hoon Uss Ghadi Ko
Jinsne Maun Kar Diya Ttha Mujhe
Kya Karunga Uss Pal Mein
Jab Raat Milunga Uss Ghadi Se.
Kaash Aisa Hota Kii Woh Pal
Naa Aata Baar-Baar Milney Ke Liye
Kaash Aisa Hota Kii Woh Raat
Subah Ke Haathon Bik Gayi Hoti.