Dama Ne Shauq Mein Musley Huey Phoolon Ki Tarah
Zindagi Hey Kisi Muflis Key Asoolon Ki Tarah
Aaj Bhi Dhoop Key Jungle Mein Humarey Saaye
Naachtey Phirtey Hein Bey Fikr Bagolon Ki Tarah
Wohi Firawn, Wohi Tunz Key Muqtul, Wohi Daar
Hum Bhi Is Daur Mein Jeetey Hein Rasuloon Ki Tarah
Haadsey Hum Jo Guzrey They Kabhi Aazir
Yaad Aatey Hein Ub Urtey Bagolon Ki Tarah