Daher Mein Naqsh-E-Wafa Wajah-E-Tasalli Na Hua
Hai Ye Wo Lafz Ki Sharminda-E- Maani Na Hua
Maine Chaaha Thhaa Ki Andoh-E-Wafa Se Chhootoon
Wo Sitamgar Mere Marne Pe Bhee Raazi Na Hua
Dil Guzargaah-E-Khayaal-E-Mayo Saaghar Hee Sahee
Gar Nafas Jaada-E-Sar Manzil-E-Taqwa Na Hua
Hoon Tere Waada Na Karne Pe Bhee Raazi Ki Kabhi
Gosh Minnat Kash-E- Gulbang-E-Tasalli Na Hua
Kis Se Mahroomiye Qismet Ki Shikaayat Keeje
Humne Chaaha Thhaa Ki Mar Jaayein So Wo Bhee Na Hua
Mar Gaya Sadma-E-Yak Jumbish-E-Lab Se Ghalib
Naatawani Se Hareef-E-Dam-E- Eisa Na Hua