Chhotaa Saa Ik Dil Aur Us Mein Duniyaa Bhar Ki Taariki
Khun Se Shammaa Roshan Rahti Hum Ne Koshish Saari Ki
Zakham Chhupaaodard Dabaao Bazm Mein Hans Hans Kar Bolo
Kaise Nibhegi Hum Se Yeh To Hudd Hai Duniyaa Daari Ki
Soonaa Rasta Nange Paon Kaale Saye Dhaltaa Din
In Cheezon Ne Aur Bhi Ziyadaa Meri Gathri Bhaari Ki
Dard-E-Zakham-E-Pa Se Apnaa Dhiyan Hataaney Ki Khaatir
Sahraaon Ki Ret Pe Hamney Paon Se Gulkaari Ki
Paon Ke Zakham Ka Dard Registaan Kadhaayi Phulon Ki Karna
Tasveeron Mein Khun-Baja-E-Rang Main Bhartaa Hun Lekin Ki
Kis Ko Fursat Hai Ke Samjhey Fun Ki Itni Baariki
Rang Ki Jagha Khun Bharta Hun Ki
Khaak Firoz Duaa-Ein Denge Panchhi Dahkan Gul Khushbu
Jungle Phoonkey Khet Ujaadey Gulshan Par Bambaari Ki