Charo.N Taraf Lasho.N Ka Ghera,
Bhari Roshani Fir Bhi Andhera!
Ak Masoom Apni Mrit Maa Ke Pas,
Na Koi Bhav, Na Koi Ahsas,
Bas Apne Chhote Chhote Hatho.N Se,
Maa Ke Chehare Ko Sahlata,
To Kabhi Usake Aanchal Me Munh Chhipa,
Is Darawane Manjar Ko Bhool Jata,
Agale Hi Pal –
Pita Ki Ungli Pakad Ghar Chalne Ki Moun Prarthana.
Roya, Hansa, Har Tarika Apnaya,
Magar Dono Ka Khamosh Rahna Use Samjh Na Aaya,
Haar Gai Sab Jatan Kar Wo Nanhi Si Jan,
Ab To Uthkar Jane Ka Aakhiri Danv Bhi Lagaya,
Mud Kar Dekhta Rha Pichhe Kai Bar,
Is Ummid Se Ki “Koi Uthale Aa Kar Use God Me”,
Koi Na Utha To Wo Hi Waps Lout Aaya,
Vidhata Hi Jane Vidhata Ki Maya,
Na Jane Vidhata Ne Kya Khel Rachaya,
Kyo Is Nanhi Si Jan Ko Is Hadse Se Bachaya