Chand Ne Chandni Bikhraate Hue Poocha
Apne Husn Par Zara Itraate Hue Poocha
Kaun Hai Yahan Jo Mujhsa Haseen Hai
Duniya Mein Aisa Koi Nahin Hai
Maine Kaha Mera Mehboob Tujhse Haseen Hai
Jo Baat Usme Hai Tujhme Bhi Nahin Hai
Baadlon Se Teri Chandni Chhip Jaati Hai
Vo Jidhar Dekhle Roshni Ho Jaati Hai
Tu Sirf Raat He Ko Nazar Aata Hai
Uska Chehra Mujhe Har Pal Nazar Aata Hai
Teri Raat Bhar Ki Chandni Mein Main Doob Nahin Sakta
Uski Jheel Si Aankhon Se Doobkar Nikal Nahin Sakta
Tu Door Hai Itna Tujhe Paa Nahin Sakta
Vo Kareeb Hai Itni Chhodkar Jaa Nahin Sakta
Tu Adhoora Hai In Sitaron Ke Bina
Main Adhoora Hoon Un Isharon Ke Bina
Tu Aasman Ka Chaan Hai
Vo Is Jahan Ka Chand Hai
Vo Ik Mauj Hai Dariya Ka Saahil Nahin,
Fark Bas Itna Hai Ke Tu Meri Manzil Nahin