Chand Lafzo.N Mein Dubi Mere Ishqe Ki Dastaa.N
Likhne Baithoon To Puri Syahi Kahtm Ho Jayegi
Wo Unke Chehre Par Mand Mand Si Muskurahat
Sametne Baithoon To Puri Zindgi Kahtm Ho Jayegi.
Ek Roz Yun Hi Mulakaat Ho Gai Raah Mein.
Ajnabi The Magar Kuch To Tha Dono Ke Ehsaas Mein.
Jab Bhi Milte The Ghanto Baat Kiya Kiya Karte The
Ek Doosre Ke Aankho Main Zindgi Talasha Karte The
Na To Waqt Ke Gujarne Ka Hosh Tha Na Hi Din Ke Dhalne Ka Khayal
Dil Bas Yahi Sonchta Ki Kab Raat Dhale Aur Kab Unka Didaar Ho.
Kab Unke Lab Khule Kab Barish Musladhaar Ho.
Dono Ki Nazdikiyan Bhadne Lagi, Dono Ka Khumaar Bhadne Laga.
Kuch Pata Bhi Nahi Chala Dono Main Pyar Bdadne Laga.
Na Hi Bhookh Lagne Ki Fikar Na Hi Kisi Kaam Ka Hosh.
Chand Minton Ke Liye Kuch Kehte The Phir Ghanto Thak Khaamosh.
Din Jaise Badi Teji Se Pankh Laga Kar Udtey Ja Rahe The Kahin
Aur Hum Bas Ek Doosre Ki Aankho Main Apna Sapna Palne Lage The
Khayalo Mein Jina Sapne Sajana
Tasswoor Main Khona Wo Ruthna Manana.
Allhad Wo Masti Wo Shokh Jawani.
Nadi Ka Kinara Wo Jharne Ka Pani.
Na Kuch Thi Khbar Na Hosh Kahin Tha
Bas Hum The Humi The Koi Aur Nahi Tha
Magar Jane Kahan Se Wo Aandhi Thi Aai
Kuch Galatfehmi Na Sapne Bhikhere
Bharosa Tha Jo Unka Wo Tuta Wahin Par
Shuru Hue Unke Zindgi Ke Gahre Andhere.
Aaj Phir Unki Zindgi Mein Sunapan Hai.
Aaj Phir Unki Thanhaiyon Main Veeranapan Hai.
Wo Bebas Hain Baithe Aur Sonchte Ye Rehte
Kya Pyar Tha Unka Jo Galatfehmi Se Toota
Kya Bharosa Tha Unka Ye Bandhan Jo Choota