Chaloo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayein Ham Donoon
Na Main Tum Say Koi Ummeed Rakhhoon Dil Nawazee Ki
Na Tum Mere Taraf Dekhoo Ghalat Andaaz Nazroon Se
Na Meray Dil Ki Dharkan Larkhharay Tere Batoon Se
Na Zahir Hoo Meree Kashmakash Ka Raaz Nazroon Say
Tumhain Bhi Koi Uljhan Roktee Hay Pesh Qadmi Say
Mujhay Bhi Loug Kehtay Hain Ye Jalway Praey Hain
Ta’ar’ruf Roog Hojaey To Uska Bholna Behtar
Ta’al’luq Bojh Hojaey To Uska Torna Acha
Wo Afsana Jisay Anjaam Tak Lana Na Hoo Mumkin
Usay Aik Khoubsorat Moor Day Kar Chorna Acha