Chaand Ban Chaandani Bikherti Ho Tum
Andheri Galiyon Mein Roshni Kar Deti Ho Tum
Maali Ban Baag Sinchti Ho Tum
Tarasti Shakhon Pe Gul Khila Deti Ho Tum

Ladkhadate Ko Girne Se Bacha Leti Ho Tum
Zakhmi Hokar Bhi Doosre Ki Dava Karti Ho Tum
Bedard Logon Ke Dhokhon Se Satayi Ho Tum
Phir Bhi Labon Se Muskura Deti Ho Tum
Baha Na Sake Aansoon Koi Tere Ghum Pe
Apni Aankhon Ki Nami Chhuppa Lei Ho Tum
Kabhi Sochta Hoon K Shayad Khuda Ho Tum
Haan Ussi Ki Hi Nishaani Ho Tum
Kya Kahoon K Kya Ho Tum
Khushnaseeb Hoon Main K Meri Dost Ho Tum