Unko Niharne Jab Main Chaand Ke Rubaru Aaya Tha,
Sharma Ke Tab Rukh Ko Baadlon Me Chupaya Tha.
Mehndi Se Saje Haanthon Se Usne Khat Likha Hai Mujhe,
Chaand Ne Pichle Pahar Sargoshiyon Me Bataya Tha.

Wo Saamne Jab Hota To Main Sochta Rah Jaata,
Wo Khud Tha Ya Mere Armanon Ka Saaya Tha.
Wo Hawa Me Tha Aur Main Kaanton Bhari Raahon Me,
Jaise Bhi Ho Usne Har Kadam Pe Saath Nibhaya Tha.
Wo Kahte Hain ‘Shaad’ Kis Kambakht Ki Khaak Hai Raahon Me,
Koi Kah De Unse, Unki Gali Me Humne Khud Ko Hi Jalaya Tha..