Burey Se Acha Ho Saath Hamare
Sab Kuch Is Karke Badal Jaata Hai
Agar Ek Insaan Bichar Gaya
Bhagwaan Us’sey Bhi Acha Hamari

Zindagi Me Le Aataa Hai.
Ek Din To Mujhe Murjhana Hi Hai,
Soch Le Agar Aisa Har Ik Phool,
To Baharain Nahi Aayaingi,
Soch Kar Bhagwaan Ne
Bhi Badala Apna Usul.
Har Roj Karwaan Dusra Hai,
Kya Tumne Is Sey Kuch Hai Sheekha
Jo Na Mila Usey Tum Dhundti Ho
Par Jo Hai Saamne Vo Tumhe Kaha Dhiikha
Purane Yaadon Me Sab Log
Aaj Ko Bhi Kho’tey Hai
Muskrane Aaye They Jahaan Mein,
To Phir Kyu Hum Sada Hi Rotey Hai
Agar Sab Ek Jaise Hotey,
To Waqt Bhi Kabhi Na Badalta,
Par Dekho Meri Jaan,
Ye Pyar Jo Meri Aankhon Me Hai Jhalakta