Bhore Ki Pehli Kiran Kyon Ruthi-Ruthi Si Lagi
Cheh-Chahate Panchiyon Ki Shore Main Tha Kuch Gila
Kuch Hawa Bhi Mand Thi
Mausam Bhi Tha Rutha Hua
Maine Soncha Aaj Jane Sabko Ye Phir Kya Hua
Kyon Bhala Mausam Ke Sine Main Ye Meetha Dard Hai
Panchiyon Ki Cheh-Cha-Aahat Bhi Bhala Kyon Sard Hai
Maine Dekha
Ek Darakth (Tree)
Sar Jhukaye Tha Khada
Aankh Main Aansoo Tha Uske
Aur Zisam Shukha Pada
Waqt Ke Kisse The Latke
Aur Kai Nisaan Chehre Par Tha
Main Khada Stahbdha Tha Kuch Pal
Phir Main Uske Paas Gaya
Maine Poocha Baat Kya Hai
Tum Kahde Ho Kai Waqt Se
Gujare Palon Ke Jajbaat Kya Hain
Kuch Na Bola
Chup Chaap Wo Sunta Raha
Kuch To Kosis
Ki Thi Usne Bolne Ki
Baat Phir Tham Si Gai
Aankh Phir Nam Si Gai
Paas Baithe Pedh Ne Mujse Kaha
Aaj Apna Aakhri Din Hain Yahan
Kal Yahan Ek Sehar Phir Bas Jayega
Panchiyan Doondhegi Apna Ghosla
Panthiyon Ko Bhi Ye Suraj
Roz Phir Jhoolsayega
Baat Sach Hai Aaj Kal
Kisko Yahan Kiski Padi
Insaniyat Khatm Ho Chuki
Ab Aa Gai Aisi Ghadi
Insaniyat Khatm Ho Chuki
Ab Aa Gai Aisi Ghadi………..!!!!!