Bhoolna Chaha Gam-E-Manzar Meri Barbadi Ka
Har Nasha Kiya Par Vo Dard Bhoola Na Saka
Jane Kaisi Majboori Thi Uski Mujhse Duriyo Ke Liye
Sahilo Se Jab Chhutaa Fir Mai Fir Se Paas Ja Na Saka
Tanhayi Me Dhundhta Raha Uski Halki Si Aawaz Ko Har Jagah
Dhakane Rok Li Uski Khatir Par Ek Aahat Bhi Paa Na Saka
Rishta Tha Dil Se Dil Ko Dard Dene Ka
Par Dil Koi Rishta Nibha Na Saka
Tere Hi Dard Ke Aashk Rahe Aankho Me Hardam
Jab Dekha Tumne Gaur Se To Muskura Na Sake
Ruthna Tha Khud Se Teri Khushiyo Ki Khatir
Tujhe Toh Khushiya Mil Gayi Par Khud Ko Fir Samjha Na Sake