Bhool Ho Gayi Humse Qurbat Ke Liye
Dil Tarasta Hain Muhabbat Ke Liye
Soch Mein Unke Khud Se Anjaan Ho Gaye
Kya Hain Sazaa Aisi Chaahat Ke Liye
Har Guft-A-Gu Mein Ishaar-E-Pyaar Nikal Jaata Hain
Vaid Ne Kya Ilaaj Bataaya Yeh Wafa-O-Vahshat Ke Liye
Zamaana Beet Gaya Koi Khabar Nahi Aayi Unki
Har Kaasid Ke Saamne Jhukta Hoon Ek Uske Khat Ke Liye
Woh Bekhudi Ko Humari Kya Samjenge
Samajte Hain Hum Bulaaye Hain Humari Zooroorat Ke Liye
Dekhte Hain Raasta Unka Bhar Chasm-E-Khoon Se
Kya Woh Denge Dawaa Yeh Himat Ke Liye
Naa De Itni Roshni Ravi Unke Zindagi Mein
Karte Hain Woh Dua Tere Zindagi Mein Zulmat Ke Liye
Chaud Tu Intezaar Mein Aanhe Bharna
Khushi Tu Kyun Lootaata Hain Unki Nafrat Ke Liye
Unki Kya Adaa Hain Wafa Ki Qadrdaani Bhi Nahi
Lekin Mauka Ek Bhi Nahi Jaane Dete Shikaayat Ke Liye
Ibaadat Yeh Sahi Nahi Hain Dekh To Sahi
Kya Mila Ghum Ke Siva Tujhe Aisi Teri Kudrat Ke Liye
Pyaar Kyun Ussi Ko Karte Hoon Jo Be-Dil Hain
Kya Paaya Maine Aisi Aadat Ke Liye
Sabhi Kuch De Diya Kuch Naa Vaapas Maanga
Kya Chaahiye Tujhe Apni Rukhi Kismat Ke Liye
Kitne Qisse Humein Yaad Dilaaye Zaalim Ke Logo Ne
Dil Phir Bhi Tarpata Hain Unki Muhabbat Ke Liye