Bheegii-Bheegii Wo Hawayein,Roz Mere,
Paas Aayen,Kaan Mein Kuchh Gungunati.
Door Baagon Se Guzar Kar,
Jab Humare Khet Saare,
Lahlahayen,Yaad Aati.
Chal Pade Purab Disha Se,
Jal Bhare Badal Jab,
Bheegti Chidiyan Jahan Hon,,
Pankh Apne Farfarati.
Aaj Mujhko Lag Raha Hai,Jaise Kii In,
Attalikaon Kii Chaton Par,
Bheegti Ye Tankiyan,
Kuch Keh Rahi Hain.
Door Parwat Ke Shikhar,
Wo Waadiyan,Wo Khet Sookhe Aur Nadiyan,
Bheeg Jane Ke Liye Hi Beh Rahi Hain.
Main Bhatakta Phir Raha Yun,
Intt Patthar Se Bane,
In Jangalon Me,Aur Unme Bar Rahe Insaan,
Pattharon Se Bhi Badtar,
Ekk Andhar Se Bhari Is Sansani Ne,
Kaan Mein Jyun Kuchh Kaha Hain.
Ab Na Jane,Beh Rahi Yah,
Kaun Si,Kaisi Hawa Hain?
Wo Bhigoegi Dilon Ko,
Ya Sukhayegi Kahin,
Wo Prem,Jo Thoda Bacha Hain.
Aaj Mere Ghar Kii Khidki,
Jo Lagi Us Paschimi Diwar Par Hain,
Khadkhada Ke Gir Padi Hain,
Aur Mere Paaun,Jyun Nischest,
Phir Se Chal Pade Hain,
Door Kheton Ko,
Jahan Bheegi Hawayen,
Aaj Bhi Kuch Gungunati,
Kaan Mein Kuchh Keh Rahi Hain.