Bharatmata Tum Kal Azad Hui Thee
Tu Biwi Bhee Hain, Bahan Bhee Hain Aur Dost Bhee Hain
Kisi Muslim Kee Ya Kisi Hindu Kee
Aur Kisi Esai Kee Ya Kisi Sikh Aur Baudh Kee
Tune Is Azadi Ko Pane Ke Liye Kya Kuch Nahi Kiya
Kitne Sitam Zhele Honge To Kitne Dard Sahe Honge
Lekin Mere Dilme Yeh Sawal Kyu Bar Bar Mandhrata Hain
Kal Tum Azad Hui Thi Ya Tune Unhe Azad Kiya Tha
Jiska Jawab Kal Bhii Nahi Mila Aur Aaj Bhii Nahi Milta