Begum Ko Jo Hara Sake Shohar Mein Dum Nahi
Paas Hai Uske Belan Aur Bartaan Bhi Kum Nahi
Kassie Karega Mukabala Uss Nagin Se Nalyaak
Use Aate Hai Fareb Sabhi Tere Paas Koi Fun Nahi
Jisne Bhi Uthaya Usko Samjho Apni Jaan Se Gaya
Chupi Hoti Hai Gunghat Mein Dayain Dulhan Nahi
Adataan Jab Ho Jati Hai Rang-E-Surk Uski Ankhein
Goya Ke Dafataan Ruk Jati Hai Bas Dhadkan Wahi
Haal Jo Phuche Koi Apna To Sir Jukha Kar Kehte Hai
Hai Bas Zindgi Mein Gum-E-Begum Aur Gum Nahi
Purane Din Hawa Huye Ab To Yeh Farman Hai Humtum
Jo Sir Na Food De Apne Shohar Ka Woh Begum Nahi