Beete Dino Ki Yaad Aaj
Darwaze Par Phir Se
Dastak De Gayi
Bandh Kiye Huye Kuch
Kiwad Khol Gayi.
Ek Dhoondli Si Tasveer
Nochti Nazaar Aati Hai.
Masoom Si Bachi
Yeh Kahan Janti Hai
Jo Haa T Jhoola Rahein
Vo Kahan Kahan Tak
Jaate Rahe Hain
Rishte Ke Naam Par
Un Darindo Ke
Haaton Se Nasoor Zakhan
Ban Jate Hain
Unke Chahre Par Hasi
Dil Mein Kalikh Hai.
Woh Jhonk Ki
Bimari Hain
Samaj Par Bhari Hain
Jis Ne Abhi Chalna
Bhi Na Seekha
Bolna Bhi Na Aata Ho
Vo Hifaazat Kaise Kare
Kisko Awaaz De Kisse
Guzarish Kare
Badhti Umar Aur Bebasi
Khud Par Vishwas
Kho Deti Hai.
Manti Hai Kasoor
Uska Nahi
Himmat Phir Bhi
Tod Deti Hai
Dahshat Ki Mari
Bebas Bechari
Ek Deewar Bana Leti Hai
Sanse Leti -— Daar Daar Kar
Ek Jeevit Laash Si Rahti Hain
Yunhi Umr Guzaar Deti Hai!