Beemaar-E-Dard-E-Dil Ko Aaram Dene Mein
Saaki Ne Bahut Der Ki Hai Jaam Dene Mein
Jawaab-E-Khat Na Aaye To Yun Tasalli Dije
Nama Bar Ne Der Ki Paigaam Dene Main
Milte To Hain Hamse, Wo Darte Hain Lekin
Is Raabatan Ko Koi Naam Dene Mein
Ek Umr Lagi Daag-E-Daaman Mitane Mein
Kya Gaya Tha Uska Ilzaam Dene Mein
Kuch Aur Jee Lenge, Kya Jaayega Tera
Mehfil Main Apni Hamko Ek Shaam Dene Mein
Ibtida-E-Ishq To Aasaan Hai Saahil
Aksar Tootte Hain Dil Anjaam Dene Mein