Bedardon Ki Duniya Hai, Koi Imaan Nahi Hai
Bhagwan Ko Dhoondne Chale The, Yaha Insaan Nahi Hai
Mazhab Ke Naam Pe Batne Ko Kahe.
Aisi Geeta Nahi Hai, Aisi Quraan Nahi Hai
Taras Gayi Nigahen To Baras Pade Aasoon
Humne To Socha Tha Inme Jaan Nahi Hai
Mohabbat Ki Aarzoo Jinse Humne Rakhi Thi
Unhe To Dosti Ki Bhi Pehchaan Nahi Hai.
Hum Chale The Dikhane Zamane Ko Raasta
Andhon Ki Basti Mai Ye Kaam Aasaan Nahi Hai
Phir Bhi Koshish To Karega ‘Tanviir’
Yeh Farz Hai Mera, Ehsaan Nahi Hai.