Bayan Yeh Ahsas Ajnabi Sa Kiyaa Nahi Jata
Bandh Lafzon Mein Iss‚  Nagmein Ko Sunaya Nahi Jaata
Rishtein Aur Bhhi Nibhaaye Thhe Zindagi Me Kaii
Pyaar Aapse Jo Paaya, Mol Lagayaa Nahi Jaata
Saaz Pehle Bhi Chhede Thhe Dil Me Maine
Geet Aapka Jo Gaaya, Honth Siyaa Nahi Jaata
Dosti Aapki Is Kadar Hai Meri Saason Me Shumaar
Kiya Dil Se Dhadkanon Ko Ab Paraaya Nahi Jaata
Aarzoo Is Rishte Ko Hai Door Rehkar Bhi Nibhaane Ki
Paas Rahkar Hi Har Rishta Khaas Banaya Nahi Jaata
Zikra Rahe Zubaan Par Sadaa Aapki Is Chaahat Ka
Maangne Ko Ab Kucch Aur Haath Uthhaya Nahi Jaata
Ho ‘Pulkit’ Dil Jaata Hai Yeh Pyaar Aapka Dekh
Aansu Khushi Kaa Bhi Aankhon Se Chhalkaya Nahi Jaata