Bahut Udaas Sa Ho Gaya Hoon,
Kisi Se Do Pal Mil Kar Phir Door Jaane Se,
Kaash Woh Pal Wahi Rukh Jaate Kisi Bahaane Se
Kuch Main Kehta
Kuch Woh Kehte
Kuch Aur Pal Hum Saath-Saath Rehte,
Par Yeh Waqt Ne Thamna Seekha Hi Nahi
Yeh Kahan Rukhte Hai,
Kisi Ke Laakh Rukhaane Se
Ajeeb Hai Yeh Pyaar Ka Khel “Khwaish”
Kal Hi Mile The Aur Yeh Mehsoos Hua Iss Dil Ko,
Ke Bichde The Hum Unse Kayi Zamaane Se
Kisi Bhi Jaam Ke Nashe Ka Mohtaaz Nahi Hai “Khwaish”
Nasha To Woh Hai Jo Barasta Hai,
Unke Nazro Ke Paimaane Se
Thak Kar Chalna‚  Aur‚  Chal Kar Thakne Ke Khel Bahut Hua,
Ab Humein Hosh Kahan
Hum To Ab Chalte Hai Unke Chalaane Se
Koi Kehde Unhe Ke Ab Hum Zinda Hai Unhi Ke Dum Par,
Ab Humari Saans Bhi Saans Leti Hai Unke Muskuraane Se
Apna Haal-E-Dil To Hum Kehte Reh Gaye Unse,
Kaash Aaj Shama Bhi Kehde Ke Usse Bhi Mohabat Hai Parwaane Se