Bahut Say Ranjo Gham Sehna To Abhi Baaqi Hai
Dard-E-Dil Say Meraa Til Til Marnaa Toh Abhi Baaki Hai
Miljayenge Hazaaro Tumhe Katra Katra Maut Dene Ko
Jism Say Meri Jaan Kaa Bichhadna Toh Abhi Baaqee Hai
Hain Bahaut Yahaan Mujhko Mohabbat Karney Waalay
Nazrein Churaake Inka Nikal Jana Toh Abhi Baaqee Hai
Chod Deti Mein Khwaabon Kee Dor Haathon Say Magar
Kuch Yaadein Hain Jinhe Bhuljaana Toh Abhi Baaqee Hai
Sahil Pay Likhti Hoon Roz Tera Naam Mit Jaane Ke Liye
Dil Pe Likkhe Naam Kaa Mitnjaana Toh Abhi Baaqee Hai
Duniya Mein Bahaut Dikhjayengi Tumhe Zinda Laashein
Inkii Ginti Mein -Ë—kamal-‘ Ka Aana Toh Abhi Baaqee Hai