Bahut Dard Hota Hai Jab
Koi Mere Vishwaas Ko Thes Pahunchata Hai,
Wo Fareb Karta Hai Or
Apna Sa Nazar Aata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Mai Kisi Ke Kaam Nahi Kaa Pata ,
Koi Ummeed Rakhta Hai Mujhse
Or Mai Use Poora Nahi Kar Paata,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Koi Neta Makkari Pe Utar Aata Hai,
Wo Desh Ka Paisa Hi Nahi
Uski Tarrakki Ko Bhi Kha Jata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Koi Gareeb Thand Se Thithurta Nazar Aata Hai,
Ye Dil Ro Padta Hai Jab
Mujh Jaisa Hi Koi Shaks Bas
Dilaasa Dekar Nikal Jaata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Aadmi Insaan Na Bankar
Dharm Ban Kar Reh Jaata Hai,
Mandiron Masjidon Me Prem Nahi
Nafrat Ka Zeher Failaata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Kisaan Bhukha Or Majdoor Beghar So Jaata Hai,
Ye Dil Ro Padta Hai Jab
Scooolon Ke Baahar Kisi Dukaan Par
Koi Bachha, Bartan Dhota Nazar Aata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Kisi Laayak Ko Rojgaar Nahi Mil Paata,
Do Waqt Ki Roti Ki Jaroorat Ke Chalte
Wo Ik Roj Jaanwar Ki Tarah Mar Jaata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Koi Ab Tak Dahej Ke Liye Lalchata Hai,
Ghar Me Adhed Hoti Betiyon Ko Dekhkar
Koi Pita Sharm Se Jhuk Jaata Hai,
Bahut Dard Hota Hai Jab
Tum Hi, Meri Mohobbat Nahi Samajh Paate,
Or Dardon Sa Nahi Ye Dard Phir Bhi,
Ye Dard Bhi, Aham Hissa Hai Mere Dardon Ka
Tum Se Hatkar Bhi To Hum
Khud Ko Poora Nahi Paate