Badi Muddato Ke Baad Ye Safar Aaya Hai
Manjil Na Sahi Rasta To Najar Aaya Hai
Aa Gaee Fir Aaj Unhe Hamari Yaad
Minnato Ke Baad Duao Me Asar Aaya Hai
Kya Pata Ye Koi Galatfehmi Hai Ankho Ki
Ya Fir Ye Mausam Kuchh Khabar Laya Hai
Aisa Lagta Hai Wo Bhi Kar Rahe Hai Yaad
Muje Lene Ke Liye Pura Sahar Aaya Hai
Badi Tadap Hai Aaj Unse Milne Ki Bas
Apne Dard Ke Liye Fir Fakar Aaya Hai
Unka Deedar Hue To Arsha Ho Gaya
Aaj Unki Tasvir Se Kuchh Sabar Aaya Hai
Fakar=proud
Sabar=satisfaction