Aye Waqt Tu Lout Ke Aaja Dil Pe Mere Tab Ikhtiyaar Na Tha
Jo Dekha Ab Manzar Ham Ne Dil Us Ke Liye Taiyaar Na Tha
Do Pal Ke Mohabbat Ke Liye Umar Gujaaraa Birahaa Main
Kasti Saahil Tak Pahunchaye Aisa Koyi Madadgaar Na Tha
Rooh Jaise Hai Jism Mai Khushboo Basi Hai Phoolon Me
Samil Thi Wo Dil Mai Aise Milna Khuchh Duswaar Na Tha
Aaghaz-E-Ulfat Kiya Us Ne Anzaam-E-Mohabbat Se Dar Bethi
Jise Samjha Lamha-E-Mohabbat Patjahd Tha Bahaar Na Tha
Waqt Ki Hi Haathoon Ki Kath-Putliaan Hain Ham Sab
Maat Khaaya Tha Hamne Par Pahle Sharam-Shaar Na Tha
Pyaar Ka Dard Mile Umra Bhar Chain Mile Sirf Pal Do Pal
Mrigchhika Ki Aas Mai -ŗnahal- Mout Ka Talaabgaar Na Tha
Aye Waqt Tu Lout Ke Aaja Dil Pe Mere Tab Ikhtiyaar Na Tha
Jo Dekha Ab Manzar Ham Ne Dil Us Ke Liye Taiyaar Na Tha