Aye Dil Yeh Bata,Tujhe Kya Hua Hai,
Tu Itna Ghabrya Aur Pareshaan Hai Kyun?
Abhi To Toote Pyaar Ke Zakhm Bhi Nahin Bhare,
Phir Us Bewafa Ke Liye Dil Mein Armaan Hai Kyun?
Dil Jisne Toda,Usne Kabhi Kadr Na Jaani,
Phir Bhi Us Ajnabee Ke Liye Ashkon Mein Balidaan Hai Kyun?
Usne Mere Khwaabon Ke Anginat Tukde Kiye, Sirf Kaante Diye,
Phir Bhi Khwaahish-E-Gulistaan Hai Kyun?
Ek Aadmi Ko Hi To Rukhsar Kiya Apni Zindagi Se,
Par Apno Ke Hote Hue Yeh Jeevan Sunsaan Hai Kyun?
Saamne Zindagi Baahein Khole Khadi Hai,
Phir Bhi Lagta Sab Veeraan Hai Kyun?
Usne Mujhe Raah Mein Tanhaa Choda,
Par Ab Jhootha Lagta Har Insaan Hai Kyun?
*Uske Bina Main Bilkul Adhoori Nahin,
Phir Kho Di Maine Apni Pehchaan Hai Kyun?*
Kal Tak Shaant Tha Mere Dil-Dariya Ka Mausam,
Phir Aaj Lagta Toofan Hai Kyun?
Mere Pyaar Ki Hadh Aasmaan Se Bhi Badi Thi,
Par Ab ‘Chhal’ Sa Lagta Aasmaan Hai Kyun?
Main Apni Zindagi Naye Sire Se Nirmaan Karna Chahti Hoon,
Par Ab ‘Vinaash’ Sa Lagta Har ‘Nirmaan’ Hai Kyun?
Usne Kabhi Mukhe Apna Nahin Maana,Mere Pyaar Ka Matlab Nahin Jaana,
Phir Uspe Kar Diya Maine Sab Qurbaan Hai Kyun?
Use Meri Zaroorat Nahin,Woh Kabhi Nahin Lautega,
Phir Yeh Nahin Samajhta Mera Dil Nadaan Hai Kyun?
Meri Zindagi “Jannat” Se Bhi Badhkar Hai,
Phir Uske Liye “Jahannum” Bana Diya Maine Apna Jahaan Hai Kyun?