Apni Mahboba Say Milnay Ka Bara Shoq Tha Mujh Ko
Usay Qarib Say Dakhnay Ka Bara Zoq Tha Mujh Ko
Laikain Jab Wo Samany Meray Ati Thi
Tab Wo Hosh Meray Urati Thi
Likh Diya Ik Din Khat Us Ko Sabar Kar Kay
Dil Par Jabar Kar Kay, Irmanon Ki Qabar Kar Kay
Bholi Bhali Samaj Saki Na Meray Piyar Ko
Aur Wo Khat Day Diya Apnay Bhai Dildar Ko
Ghusay Kay Dirya Ki Lambi Faug Main Nay Ati Daykhi
Dildar Kay Pichay Us Kay Bhaion Ki Faug Ati Daykhi
Anay Walon Main Jabar Tha Gafar Tha Badar Tha
Par Un Ka Sardar Us Ka Bhai Dildar Tha
Atay Hi Us Nay Bulaya Mujh Ko Wo Khat Nikal Kar Dikhay Mujh Ko
Kaha Us Nay Ya Surat Hay Teray Piyar Ki
Oay Tujay Pata Nahin Wo Bahan Hay Dildar Ki
Kaha Us Nay Idhir To Meray Yaar Aao Na
Kuch Na Ho Ga Aysay Hi Ghabrao Na
Aysi Batain Kar Kay Us Nay Mujh Ko Bhatka Dia
Pahlay Rasi Say Banhda Phar Chat Say Latka Diya
Us Kay Hath Main Danda Tha Us Ki Bahan Kay Hath Main Haki Thi
Nikal Gai Piyar Ki Umeed Jo Mujh Main Baki Thi
Un Kay Marnay Say Jasum Say Kai Saz Nikal Rahay Thay
Phar To Mun Say Aglay Pichlay Raz Nikal Rahay Thay
Kaha Us Nay Ainda Aysi Harkat Na Karna Yaar Meray
Meray Haton Baymot Na Marna Yaar Meray
Ab Jub Bhi Wo Samnay Meray Ati Hay Meri Ankh Bhar Ati Hay
Meri Aankon Say Ansoo Bahnay Lagtay Hain
Aur Meray Zakham Us Say Kahnay Lagtay Hain
Khabhi Hum Main Tum Main Bhi Qarar Tha Tumhain Yaad Ho Kay Na Yaad Ho
Kitna Mahnga Hamara Piyar Tha Tumhain Yaad Hao Kay Na Yaad Ho
Kitna Haseen Wo Manzar Yaadgar Tha Tumhain Yaad Hao Kay Na Yaad Ho
Jis Main Latka Hua Ya Khaksar Tha Tumhain Yaad Hao Kay Na Yaad Ho
Nichay Para Hua Is Badard Ka
Jism Bimar Tha Tumhain Yaad Hao Kay Na Yaad Ho
Jis Par Chara Hua Tumhara Bhai Dildar Tha
Tumhain Yaad Hao Kay Na Yaad Ho