Apne Bistar Pe Bahut Der Se Main Neem Daraz
Sochta Tha Ke Wo Is Waqt Kahan Par Hoga
Main Yahan Hoon Magar Us Koocha-E-Rang-O-Boo Mein
Roz Ki Tarahse Wo Aaj Bhi Aaya Hoga
Aur Jab Usne Wahan Mujhko Na Paaya Hoga
Aap Ko Ilm Hai Wo Aaj Nahi Aayi Hai
Meri Har Dost Se Usne Yehi Puchha Hoga
Kyon Nahi Aayi Wo? Kya Baat Hui Hai Aakhir
Khud Is Baat Par Sau Baar Wo Uljha Hoga
Kal Wo Ayegi To Main Usse Nahi Bolunga
Aap Hi Aap Ke Baar Wo Rootha Hoga
Wo Nahi Hai To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin
Sidiyan Chadte Hue Usne Socha Hoga
Raahdaari Mein, Hare Lawn Mein, Phoolon Ke Kareeb
Usne Har Simt Mujhe Aa Ke Dhunda Hoga
Naam Bhulne Se Jo Mera Kahin Aaya Hoga
Gair Mehsoos Tareeke Se Wo Chaunka Hoga
Ek Jumle Ko Kayi Baar Sunaya Hoga
Baat Karte Hue Sau Baar Woh Bhoola Hoga
Ye Jo Ladki Nayi Aayi Hai Kahin Wo To Nahi
Usne Har Chehra Yehi Sochke Dekha Hoga
Jaan-E-Mehfil Hai Magar Aaj Faqt Mere Bagair
Hai Kis Darja Wohi Bazm Mein Tanha Hoga
Kabhi Sannaton Se Wehshat Jo Hui Hogi Use
Usne Besakhta Phir Mujhko Pukara Hoga
Chalte Chalte Koi Maanoos Si Aahat Paakar
Doston Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Hoga
Yaad Karke Mujhe Nam Ho Gayi Hongi Palkein
Aankh Mein Pad Gaya Kuch Keh Ke Taala Hoga
Aur Ghabra Ke Kitabon Mein Jo Le Hogi Panah
Har Satr Mein Mera Chehra Ubhar Aaya Hoga
Jab Mili Hogi Use Meri Haalaat Ki Khabar
Usne Aahista Se Deewar Ko Thama Hoga
Ittefaqan Mujhe Us Shaam Meri Dost Mili
Maine Puchha Ke Suno, Aye The Kya Wo? Kaise The
Usne Ek Lamhe Ko Dekha Mujhe Aur Phir Hans Di
Us Hansi Mein To Wo Talkhi Thi Ke Usse Aage
Kya Kaha Usne Mujhe Yaad Nahi Hai Lekin
Itna Malum Hai
Itna Malum Hai
Khwabon Ka Bharam Toot Gaya