Apna Apna Raasta Hai Aur Kuch Nahi
Apno Mein Ab Sir Faasla Hai Aur Kuch Nahi
Duriya Kyon Badti Jaa Rahi Hai
Aajkal Yuh Rishton Mein
Ab To Sirf Naam Reh Gaya Hai Aur Kuch Nahi
Log To Kehte Rehte Hai Idhar Udhar Ki Baatein
Humse Poochte Hai Kuch Suna Hai
Hum Kehte Hai Kuch Nahi
Har Ek Ke Dard-O-Gham Se Door
Rehna Chaahte Hai Log Aur Kuch Nahi
Jaane Ab Kyon Sirf Khusiyan Hi Baantna
Chahate Hai Log Aur Kuch Nahi
Doosro Par Faisla Karna Bahut Asaan Hai
Sach To Yeh Hai Ki Pehle Khud Ki Nazar Se Apne Aap Ko Parke
Phir Faisla Kare Kya Bhala Haikya Boora Hai Kuch Nahi
Tu Apni Manzil Ki Taraf Chalte Reh‚  Khwaish
Issi Ka Naam Zindagi Hai Aur Kuch Nahi