Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Sheshe Se Nazar Rakhte Hai
Jo Dekhna Chahta Hai Use Sach Dikhate Hai Hum Apno Ki Itne To Khabar Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Dede-Ae-Akhtar1 Rakhte Hai
Din Ki Tapish Mai Hum Dil Mai Apne Chao-Ae-Sehar Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Analbahar2 Rakhte Hai
Jalva-Ae-Mahfil Mai Hum Sab Se Rahguzar Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Sharar3 Rakhte Hai
Karte Hai Yakin, Hum Sabpe Itna To Asar Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Paikar4 Rakhte Hai
Sab Ke Gunah Jante Hai Hum Par Sabki Khata Muzmar5rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Gujina-Ae-Gohar6 Rakhte Hai
Sabke Liye Is Dil Mai Janghan Hai Hum To Gumbade-Be-Dar7 Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Para-Ae-Jigar8 Rakhte Hai
Sach Kah Sake Humse Hamesha Aisa Sitayishgar9 Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Aisa Gohar10 Rakhte Hai
Tab-Ao-Tanva11 Itna Hai Ki Bayani12 Nafse-Beasar 13 Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Nazre-Nashtar14 Rakhte Hai
Kah Sake Sab Se Sach Itna To Arze-Hunar Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Sabka Sarbasar Rakhte Hai
Sabse Milte Hai Uski Tarah ,Sab Ke Liye Ek “Vahid15 -Ae-Yasar” Rakhte Hai
Ankhoon Ki Shuaoon Mai Hum Sheshe Se Nazar Rakhte Hai