Ankhon Ka Rang, Baat Ka Lehja Badal Gaya
Woh Shakhs Aik Shaam Main Kitna Badal Gaya
Kuch Din To Mera Aks Raha Ayeena Naqsh
Phir Yoon Huwa Ki Khud Mera Chehra Badal Gaya
Jab Apnay Apnay Haal Pay Ham Tum Na Reh Sakay
Tou Kiya Huwaa Jo Ham Say Zamana Badal Gaya
Kadmon Talay Jo Rait Bichee Thi Woh Chal Pari
Us Nay Churhaaya Haath To Sehra Badal Gaya
Koi Bhi Cheez Apni Jageh Par Nahin Rahi
Jaatay Hi Aik Shakhs Kay Kiya Kiya Badal Gaya
Uth Kar Chala Gaya Koi Wakfay Kay Darmiaan
Parda Utha To Saara Tamaasha Badal Gaya
Hairat Say Saaray Lafz Usay Dekhtay Rahay
Baaton Main Apni Baat Ko Kaisay Badal Gaya
Kehnay Ko Ik Sehan Main Deewar Hi Bani
Ghar Ki Fiza Makaan Ka Naqsha Badal Gaya
Shayad Wafa Kay Khel Main Uktaa Gaya Tha Woh
Manzil Kay Paas Aakay Jo Rasta Badal Gaya
Qayem Kisi Bhi Haal Pay Dunyaa Nahin Rahi
Tabeer Kho Gayee Kabhi Sapna Badal Gaya
Manzar Ka Rang Asal Main Saaya Tha Rang Ka
Jis Nay Usay Jidhar Say Bhi Dekha Badal Gaya
Andar Kay Mosaamon Ki Khabar Us Ko Ho Gayee
Us No Bahaar Naaz Ka Chehra Badal Gaya
Ankhon Main Jitnay Ashaq Thay Jugnoo Say Ban Gaye
Woh Muskuraaya Aur Meri Dunyaa Badal Gayee
Apni Gali Main Apna Hi Ghar Dhoondtay Hain Log
Amjad Yeh Kon Shehar Ka Naqsha Badal Gaya