Akhon Mein Nasha Hai Tere Bhi, Akhon Mein Nasha Hai Mere Bhi
Tu Gair Ki Akhon Mein Ho Basa, Tu Dil Mein Basa Hai Mere Bhi.
Abb Jaao Tum Ek Kaam Karo, Jaakar Yeh Keh Do Sakhiyon Se,
Tum Kya Itraati Phirti Ho, Koi Peeche Pada Hai Mere Bhi.
Lagta Hai Teri Aakhon Se, Hai Mauj-E-Mohabbat Sahil Par,
Tujhko Gar *Ranjh-E-Furqat Hai, Tau Dil Mein Khalaa Hai Mere Bhi.
Ranjh-E-Furqat=judai Ka Dard
Karobaari Zimmedari, Ya Phir Samaajik Laachaari,
Iss Manzil-E-Ishq Ki Rahon Mein Kuch Aage Khada Hai Mere Bhi.
Kab Tak Mein *Baar-E-Ghum Dhota, Leli Jo Jaan Nijaat Huee,
Beshak Yeh Patthar Halka Hai Jo Sarpe Gadha Hai Mere Bhi.
Baar-E-Ghum=ghum Ka Bojh
“Talib” Ko *Takabbur Kyon Aaya, Do Chaar Betuke Jhumlon Par,
Ghar Par Shayad Ik *Daraaz Mein Deewaan Pada Hai Mere Bhi.
Takabbur=ghuroor/pride, Daraaz=drawer.