Aisa Kyun Lagta Hai
Aurat Bas Ek Khilona Hai
Sirf Ek Jism Hai
Sirf Ek Jaan Hai
Jiski Ki Naa Koi Icchha Hai
Na Hi Koi Armaan Hai
Jab Jo Chaye Dil Bahlata Hai
Jab Chahye Dil Thod Jata Hai
Yeh Bhi Bhul Jata Hai
Ussko Janam Dene Wali
Ek Maa Bhi Aurtat Hai
Jo Haat Par Rakhi Bandhti Hai
Woh Bhi Ek Aurat Hai
Jo Beti Hai Vo Bhi
Aurat Ki Murat‚  Hai
Yeh Samaj Ke Thekedaro
Kab Tak Jismo Ko Nochoge
Aab Toh Khud Ko Sambhalo
Nari Ko Saamaan Do Usse Jeene Do
Aaj Ki Nari Ko Pahchan Lo
Usske Har Roop Ko Izzaat Do
Usse Uska Adhikar Do
Nari Sehan Shati Ki Partima Hai
Dhahraye Ki Misaal Hai
Usse Naa Majboor Karo
Waqt Aane Par Vo Chandi Ka Avtar Hai
Ek Aisi Chingari Jo Rakh Kar Degi
Naa Jagao Uske Yeh Roop
Usse Sheetal Hi Rahne Do
Nari Khilona Nahi Hai
Woh Pyaar Ka Sagar
Woh Aapke Ghar Ki Izzaat Hai
Aapke Ghar Ka Saammaan Hai