Aik Din Achanah Hi Phone Aa Gaya Us Ka
Lehje Ki Malamat Se Ho Raha Tha Sab Zahir
Ro Rahi Thi Shidat Se Ladkhadate Lafzon Se
Kar Rahi Thi Batain Woh Tum Kahan The Itne Din?
Roz Phone Karti Thi Baat Tum Se Kar Ni Hai
Jo Bahut Zaroori Hai Khush Nahi Hoon Main Bhi Kuch
Pyaar Tera Thukra Kar Sara Din Tadapti Hoon
Chain Hi Nahi Milta Jagti Hoon Shab Bhar Main
Neend Hi Nahi Aati Jo Nahi Kaha Kal Tak
Aaj Tum Se Kehti Hoon Pyaar Tum Se Karti Hoon
Main Ne Phir Kaha Us Se Main Na Kehta Tha Tum Se
Aik Din Tu Aana Hai Lot Kar Tumhain Wapis
Kaise Tum Bina Mere Zindagi Guzaro Gi
Zinda Tu Raho Gi Par Zindagi Na Ho Gi Woh
Aik Aik Lemhe Main Yaad Meri Aaye Gi
Doosri Taraf Se Phir Qehqeha Sa Aaya Aik
Aur Woh Kehne Lagi Tum Bhi Kitne Pagal Ho
Jante Nahi Itna Aaj ‘First April’ Hai