Ae Zindaagi Suno Mujhe Fark Nahii Padta
Tum Ekk Pal Ke Ho Ya,Ho Sau Saal Ke
Hogi Chhoti Si Bayaani
Ya Banegi Koi Lambi Kahani
Ya Mit Jaaoge Khaak Banke
Ya Amar Hoge Itihaas Banke
Ya Khushi Se Bhara Har Din Hoga
Ya Gum Kaa Mela Laga Hoga
Ya Kaante Hii Milenge Rah Mein
Ya Biche Honge Phool Pyaar Ke
Kya Fark Padta Gai,In Baato Se..
Nahi Bhaagana Mujhe Kinhi Bhii Halaato Se
Bas Ekk Hii Ikchha Hain Meri
Jab Tak Raho Tum Sang Mere
Dekh Sakoon, Pehchaan Sakoon
Zindadili Se Jee Sakoon Har Pal Mere
Garima Tere Har Pal Kii
Chaahe Khushi Ho Ya Gum, Atal Ki
Bas Jaaye Mere Jehan Mein
Chhuu Sakoon Har Haalat Mein
Ae Zindaagi Suno Mujhe Koi Fark Nahi Padta
Tum Ekk Pal Ke Ho, Ya,Ho Sau Saal Ke