Ae Momino Apnay Rab Ke Darbaar Se Barkatein Samait Lo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Apnay Daman Ko Gunahoon Say Paak Karlo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Aisa Muqaddas Mahina Momino Saal Main Faqt Ik Dafa Hi Aata Hai
Apni Ankhon Ko Khuda Kay Hazoor Duaoon Say Bhigo Lo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Tum Raat Bhar Khuda Kay Liye Namaz Main Kharey Rehna
Tamaam Namazon Say Khud Ko Sair Karlo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Momino Bauahat Pachtaao Gay Jab Shab-Qadar Nikal Jaye Gi
Kuch Din Kay Liye Apnay App Ko Khuda Kay Supurd Kardo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Sehar-O-Iftaar Kay Woh Paak Lamhaat Bas Kuch Din Aur Hain
Apnay Rozzon Ko Apnay Liye Baii-Say Rehmat Karlo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Rooz Kalaam-Paak Ki Qiraat Momino Tum Kartay Ho Aur Suntay Ho
Ab Quran Kuch Aisa Parho Kay Har Koi Gum Ho Jaye Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Ab Woh Raat Ayey Gi Kay Khuda Kuch Poochay Ga Kay Bool Tu Kia Mangta Hai
Aey Momino Is Raat Ko Ummit-E-Muslima Kay Ittihaad Ki Dua Karlo Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Is Bekaar Si Dunya Main Momino Tum Kyun Dil Laga Bethay Ho
Dil Lagana Hai Tou Khoobsoorat Naatoon Main Lagao Kay Ramazan Jaa Raha Hai
Main Kitnay Hi Safhay Apnay Rab Ki Taareef Main Bhardoon Chain Naa Aye Gaa Momino
Apnay Dil Ki Har Dharkan Ko Subhan Allah Say Hamkinaar Karlo Kay Ramazaan Jaa Raha Hai.