Ae Maan Tu Aaj Itna Kyo Udaas Hai
Kyo Tujhe Aaj Yahan Koi Na Acha Lagta Hai
Ye Teri Khud Ki Hi Galti Hai,Ae Dost Mere
Kyo Tujhe Har Ek Aadmi Yahan Saccha Lagta Hai!

Jab Tumko Malum Tha Ki Sabhi Hassen Bewaffa Hote Hai
Phir Kyo Tune Uss Hasi Se Is Kadar Pyaar Kiya
Jab Janta Tha Tu Ki Inke Seene Mein Dil Nahi Pathar Hota Hai
Phir Kyo Tune Unki Baaton Ka Is Kadar Aitebaar Kiya
Jaan Bujh Kar Tune Galti Ki Hai
Phir Kyo Aapni Kismaat Ko To Ilzaam Deta Hai
Zaara Aapne Dil Se Pooch Ki Kya Usne Ki Kabhi Wafa Tujhse
Sab Jante Hue Kyo Kisi Ko Tu Bewafa Ka Naam Deta Hai!
Zamane Ka Kya Kassor Woh To Tum Pe Hasenge Hi
Tumne Aapne Dil Ko Khud Hi Jalaya Hai
Ismein Galti Nahi Hai Zarra Bhi Uss Hassen Dost Ki
Tumne Aapne Gammo Ko Aab Khud Hi Badaya Hai!
Iss Matlabhi Duniya Mein Kadar Karega Tere Pyaar Ki
Is Waham Ko Aab Bhi Aapne Dil Se Nikal De Tu!