Abh Hum Hai Be_asar Ki Unmein Abh Chaah’at Nahi,
Guzarte Nahi Humaari Raaho Seh,Aaj Woh Aa’hat Nahi,
Haal-E-Dil Sunaa Kar Aaj Behaal Hogaye Unke Haal Seh,
Qaasid Koh Hataa Diya,Abh Zabaan Par Woh Fasaa’hat Nahi,
Fasaa’hat=eloquence, Clarity, Safaayi
Dil Toot Gaya Hain Itnee Baar Ki Ab Iske Tukde Nahi Milte,
Jaz’ba-E-Dil Toh Khat’m,Isey Bachaane Ki Ab Ghabraa’hat Nahi,
Zindagi Toh Tha Ek Tohfaa Khuda Ka Joh Unhe De Baite,
Mar Jaate Hum Magar, Zindagi Koh Humse Adaa’vat Nahi,
Adaa’vat=hatred;
Unki Nazaro Mein Tha Ek Ajab Seh Afro^z Jiske Bane Dewaa’ne,
Hasti Thi Woh Nazarein Humpar,Dikha Joh Woh Muskuraahat Nahi,
Afro^z= Shining, Chamak;
Har Pal Khushi Dhoondte Rahe Koo-E-Yaar Ke Har Mod Par Hum,
Khushi Koh Nahi Humaari Khwaahish, Gham Ki Shafaaqat Nahi,
Shafaaqat=mercy;
Chot Humaari Bharte They Unki Hoton Ke Shakreen Mar^ham Seh,
Tavaqqo Meri Ghalat Huyi, Shereen Socha Tha Magar Aa^fat Nahi,
Tavaqqo=expectations, Shereen=sweet;
Huye Khas-O-Khaashaak Hum Bulhawas Hokar Husn_parastee Mein,
Dhal Gayi Meri Zindagi Ki Shaam, Subha Hone Seh Bhi Raahat Nahi,
Khas-O-Khaashaak=destroyed,Bulhawas=greed, Husn_parastee= Worshiping Beauty;
Gilaa Nahi Jab Woh Bane Aafat-E-Jaan Humaari Aur Gham Aeni Shaahid,
Lapat Doh Hume Abh Kafan Mein, ‘Eharaam Ki Hume Ab Ijaazat Nahi,
Aafat-E-Jaan=risk For Life, Aeni Shaahid=eye Witness, ‘Eharaam=dress For ‘Haj’
Nazzaara-E-Jamaal Na Ghaflat Seh Ho Aise Le Jaana Ae Kareem,
Dekh Liya Unhone Gar Hume,Ab Ma’aal_faiz Meri Ibaa^dat Nahi.
Nazzaara-E-Jamaal= Seeing A Beautiful Face, Kareem= Kind, Merciful, Ma’aal_faiz=resultant Profit