Ab To Paani Me Bhi Sharara Nazar Aata Hai,
Chaand Me Bhi Jaise Uska Chehra Nazar Aata Hai.
Waise To Muhabbat Ke Nishaan Mit Chuke Hain Magar,
Dil Me Jhaankun To Zakhm Gahraa Nazar Aata Hai.
Aaj Bhi Malikae-Husn Ke Deedar Na Ho Saken Shayad,
Dushmano Ke Shahar Me Kada Pahra Nazar Aata Hai.
Meri Muhabbat Ka Asar Hai Ya In Ankhon Ka Bharam
Sabz Baagon Ko Bhi Dekhoon To Sahra* Nazar Aata Hai.
Jab Kabhi Unki Yaad Chali Aati Hai Mujhe Satane,
To Ye Waqt Bhi Beraham Thahra Nazar Aata Hai.
Meri Mayyat Pe ‘Shaad’ Bas Itna Khyal Rakhna,
Phoolon Ko Na Rakhna Ki Unka Sehra Nazar Aata Hai..