Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho
chaman-e-daher meiN rooh-e-chamanarayee ho
tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho
bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho
muJhse milne meiN abandesha-e-ruswaayee hai
maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai
ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
un dino muJpe qayamat ka junooN taari thaa
sar pe sarshaari-o-ishrat ka junooN taari thaa
maahpaaroN se mohabbat ka junooN taari thaa
shehri yaaroN se raqabat ka junooN taari thaa
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri
ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri
kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar
shiddhat-e-kard meiN doobi huyee meri guftaar
main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaooN
ab meiN wo zazba-e-masoom kahan se laaooN
ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho.