Ab Mazaa Hai Har Waqt
Terey Gum Me Roney Mein Bhi
Sannaton Mein Majaa Hai
Aur Kuch Na Dikhayi Deney Mein Bhi
Ab In Aakhon Ko Ho Hi Gayee Hai
Aadat Chalak Janey Ki
Aur Mujhko Mazaa Hai
Meri Nazar Ke Dhondla Janey Mein Bhi
Phir Se Poochiye Merey
Dard-E-Dil Ki Kahani Mujhsey
Mujhko Aata Hai Majaa
Us Sab Ko Dohraney Mein Bhi
Ab Shayad Kabhi Deedarey Yaar
Na Ho Payegaa “E Maalik”
Per Abhi Kuch Shaq Hai Mujhey
Uskey Aa Janey Mein Bhi
Ya Khudaa Ab Teri Khudai Se Bhi
Humein Koi Shikwa Nahi
Waqt Mukarar Kar Diya Hai Bahut
Tuney Merey Marjaney Mein Bhi