Aangan Mein Mere Ek Paudha Thaa
Ek Nanha Sa, Pyaara Sa, Aam Ka Paudha
Seecha Usko, Savara Meine Usko
Bada Hua, Dharti Se Uth Gagan Ko Chuaa
Kai Saal The Humne Shaat Gujare
Sardi, Garmi, Savan, Patjhad Aur Barsat
Dekhe Humne Milkar Mausam Saare
The Chawn Mein Najane Kitne Din Gujare
Kabhi Khelke, Hasske To Kabhi Ro Ke Gujare
Kabhi Is Tehni To Kabhi Us Tenhi Pe Kaate
Kai Din, Kai Shaam, Tanha Saath Bitaye
Savan Ke Jhula Laga Behan Ko Jhulaya
Phal Tod Uske, Apne Mukh Pe Lagaya
Phir Ek Din Ek Zor Ka Toofan Aaya
Mera Peed Ukhad Dharti Pe Gira
Roya Mein Raat Bhar, Kai Din Nahi Soya
Phir Utha Hor Hote Gaya Paas Uske
Aankhon Ki Boondon Ko Dharti Pe Gera
Phir Dekha Vahan Jahan Beh Raha Tha Pani
Mere Pyaare Peed Ka Chota Sa Paudha
Mere Aangan Ko Tha Usne Mehkaya
Ek Nanha Sa, Pyaara Sa, Aam Ka Paudha
Seecha Usko, Savara Meine Usko
Bada Hua, Dharti Se Uth Gagan Ko Chua