Aaj Tez Barsaat Mein Phir Teri Yaad Aayi Hai
Har Girte Boond Ne Mujhse Kaha
Dilkash Mausam Mein Bhi Kyon,
Tere Ird-Gird Sirf Tanhai Hai
Sab Kuch Hai Paas Mere
Par Agar Woh Na Ho To Sirf Tanhaai Hai
Shayad Issi Ko Kehte Hai Yaar,
“Dard-E-Judai Hai
Jab Bhi Yaad Karta Hoon Uss Shaks Ko
To Aankhein Meri Bhar Aayi Hai
Eh Khuda,Aisi Bhi Kya Teri Khudai Hai
Waise To Hasratein Bahut Si Thi Dil Mein Mere
Par Tere Hukm Ke Bin Eh Khuda
Kabhi Kisi Ki Baat Kya Ban Paayi Hai
Jis Ke Khayalo Mein Main,
Guum Sa Rehta Hoon Har Pehar,
Kya Usse Bhi Mera Khayal Hai,
Yeh Baat Se Khwaish Ne Apni Neend Gawaai Hai
Apni Nigaahon Se Kabhi Khwaish Ki Taraf Bhi Dekho,
Door Baithe Rehte Ho Humse,
Aisi Bhi Kya Ruswai Hai
Aaj Tez Barsaat Mein Phir Teri Yaad Aayi Hai