Aaj Tere Aur Mere Beech
Gehri Si Khayee Ban Gayi Hain
Aaj Khaali Pahaaron Mein
Kaali Se Ubhar Laali Dikha Rahi Hai
Mere Bhai!, Zanzeerien Hamari
Sattaavan Saal Pehle Katt Gayi Tthi
Magar Mann Ko Shayad Pachaas Aur Lagenge.
Dekh Hamaara Poorab Aaj Bhi Girvi Pada Hain
Paschim Ke Bahikhaaton Mein.
Kab Talak Main Hindu Aur Tu Muslim Rahega
Kab Tak Main Bharat Aur Tu Pakistan Kahega.
Soch Mere Dost! Hume Kya Mila
Tera Sona Meri Chaandi
Aur Ekk Kohinoor Pratthista Kaa
Unke Mehlon Mein Saj Raha Hain.
Nahin Legaye Yeh Patthar Kii Zameen.
Magar Woh Hum Hii They
Jinki Mehnat Ne Patthar Ko
Jhukaya Tha Khada Kara Tha
Dobaara Ekk Aise Mulk Ko
Jisne Paida Kiya Jaat-Paat Ko.
Vyarth Ho Gaya Tha Sapna
Jab Tu Musalmaan Bana
Aur Main Hindustan Kehney Laga
Ekk Doosre Kii Shakl Mein
Humey Phir Britain Dikhney Laga.
Na Tuney Kabhi Diwaali Kahi
Maine Bhii Eid Ko Bhulaa Diya.
Aaj Tow Aaja Tu Ya Mujhko Hee Bulaale
Koi Tow Suruaat Ho Jo Sabkuch Yaad Karaade
Teri Meri Sarhad Koi Filmon Ka Masaala Nahin
Yeh Woh Dard Hain Jisko Koi Mehfil Mein
Kabhi Baanch Nahi Sakta.
Yeh Woh Dard Nahi
Jo Shabdon Mein Bayaan Ho Jaye
Is Dard Ko Kitaabon Mein
Koi Jagah Tak Nahi Deta
Yahi Woh Dard Hain
Jo Rajneeti Kii Chaukhat Mein
Kabhi Bhi Jhuk Nahi Sakta
Yahi Tow Woh Dard Hai Jisko Naa Hindu
Naa Musalmaan Koi Samajh Sakta Hain.
Mere Dost!, Tujhe Awaz Apni Bheji Hain
Sunke Jisko Mujhe Bulaa Lena.
Ekk Insaan Hoon Insaan Rehna Chahata Hoon
Ekk Bhai Hoon Tera Bichraa Samajh Ke Sunn Lena.