Aaj Roothe Hue Sajan Ko Bahot Yaad Kiya
Apne Ujrey Hue Gulshan Ko Bahot Yaad Kiya
Jab Kabhi Gardish-E-Taqdeer Ne Ghera Hai Humein
Gesu-E-Yaar Ki Uljhan Ko Bohot Yaad Kiya
Shama Ki Jot Peh Jaltey Huwey Parwanon Ney
Ek Tere Shola-E-Daman Ko Bahot Yaad Kiya
Jiske Maathey Peh Nei Subha Ka Jhoomar Ho Ga
Hum Ney Us Waqt Ki Dulhan Ko Bahot Yaad Kiya
Aaj Tootey Huwey Sapno Ki Bahot Yaad Aai
Aaj Beetey Huwey Sawan Ko Bahot Yaad Kiya
Hum Sar-E-Toor Bhi Mayoos-E-Tajali Hi Rahey
Is Dar-E-Yaar Ki Chilman Ko Bahot Yaad Kiya
Mutmain Ho Hi Geiy Daam-E-Qafas Mein Saghir
Hum Aseeron Ne Nasheman Ko Bahot Yaad Kiya