Aaj Koshishein Ki Yaad Karne Ki Par Eisi Koi Ghadi Yaad Na Aai,
Kehne Ko To Bahut Kuchh Tha Tab Bhi Par Kisi Ko Suna Hi Na Paai,
Bas Sunte Sunte Hi Umr Gujar Gai Or Mai Jawaani Ki Dehleez Par Chali Aai,
Ab Bhi Machalte The Khwaab Per Unko Ek Adad Jameen Tak Na Mil Paai,

Na Kisi Ne Puchha Hi Kabhi Or Na Maine Bataane Ki Himmat Hi Jutaai,
Bas Baandh Di Gai Ye Chun.Ni Kisi Ke Saath Or Ai Us Bandhan Ke Saath Khud Ko Baandh Aai,
Unke Wachnon Se Badi Ummeedien Thi Yoonto Par Wo Bhi Kabhi Puri Na Ho Paai,
Na Unhone Wachan Nibhaye Kabhi-Â…or Na Maine Unhe Kabhi Iski Yaad Hi Dilaai,
Yoonto Kai Baar Wo Mere Kareeb Aaye Par Mere Kareeb Na Aa Sake,
Mai Sunti Rahi Ek Um Unko..Or Wo Mujhe Sun.Ne Ka Dil Na Banta Sake,
Mai Tadapti Hi Rahi Sunaane Ko Apne Dil Ke Zakhm Dikhane Ko,
Par Koi Apna Aage Na Aaya Mere Dard Me Haath Barhane Ko,
Ik Ummeed Se Bas Unke Saath Saath Bas Chalti Hi Rahi Mai Saath Nibhane Ko,
Shaayad Kabhi Waqt Mil Jaaye Unko In Aankhon Ko Parh Paane Ko,
Ab Tumhi Bataao Ey Chaand-Â… Tumsa Muskuraata Noor Mai Kahaan Se Laati
Ye Dard Jo Ab Naasoor Ho Chala Hai Aise Ab Mai Bhala…Kisko Jaakar Sunati.